Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon ..
Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon...
Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain ,
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon ...
Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee ,
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon...
Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna,
ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna,
ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain
Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina,
ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain
Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna,
ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain
Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna,
ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain
Kabhi aajao tum pal bhar ko,
Mujhe tum se batien krni hain,
Kuch ghum k geet sunanay hain,
Kuch raaz hain jo batlanay hain,
Kuch dil ko b batlana hai,
Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain,
Kuch dil se yaadain dhoni hain,
Kuch naatay nai bnanay hain,
Jo sher likhay hain teri furqat mein,
Kuch sher tumhe wo sunanay hain,
Kuch dard sunanay hain dil k,
Kuch piyar ki batien krni hain,
Kabhi aajao tum pal bhar ko,
mein kuch b nahin hoon tere liye
kuch tere liye mein ho jaon
tere dil men rahoon ankhon mein basoon
dharkan men shamil ho jaon
to jab koi baat kare
mera naam b us meia shamil ho
to jab b mange kuch rab se
meri zaat b us men shamil ho
har bar nahin ik baar sahi
ik bar to aisa ho jae
ik pal k liya ae jan-e-wafa
tujhe mujh se mohabbat ho jae
AY KAASH K AISA HO JAE
AY KAASH K AISA HO JAE
Rahte hain unke khayalon me,
ab neend mujhe aati nahi,
hanste hai ab jab bhi hum,
bas yaad unhi ki aati hai,
wo uski meethi muskan,
humara dil dhadkati hai,
jagte sote har pal hi,
unki yaad hume tadpati hai,
bas ek jhalak unki paakar,
hum khush ho jaaya karte hain,
jab bhi wo aate hain saamne,
hum chup ho jaya karte hain,
Bolta hai per dil mera,
kuch bol sake to tu kah de,
per sochta hoon main,
is baat se, mera dil use na kho baithe,
wo dost nahi mera sab kuch hai,
ye kaun use batlaye,
kaas waqt ke saath hi,
wo apne aap samajh paaye,
Ay ............... ab teri yaad me,
kisi kaam me ruchi nahi,
dil me tum, dhadkan me tum,
aur baat kisi ki bachi nahi,
rahte hain tumhare khayalo me,
an neend mujhe aati nahi.....
jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha,
Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha,
aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat,
roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat,
kon c main nay thee us say khudaii mangi,
jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi,
mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila,
hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila.
Mosam-e-hijr k lamhat koi kiya janay,
Kya guzarti hai meray sath ko kiya janay,
Doriyon me bhi tere sath marasim hen woi,
Roz hoti hai mulaqat koi kiya janay,
Log hansti hui ankhon pe yaqeen rakhtay hain,
Mere ansuu mere jazbat koi kiya janay,
Ek tu hai jisay malum hen sari batain,
Shab-e-hijran mere halat koi kiya janay,
Koi kiya janay k khamoshiyan kia kehti hain,
Aay €Dhani€ teri ankhon k sawalat koi kiya janay
Ye jo shafaaf sa ik aks us jheel mein tha,
Koi chehra tha magar chaand ki tamseel mein tha,
Yaad karta hu kahan bhool k aya hu usay,
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha,
Baat kia thi ye mujhe achi tarah yaad nahi,
Haan aap ka zikr b tha aur bari tafseel se tha,
Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha,
Masla asal to paigham ki tarseel mein tha,
Is naye nuskhe mein takhreef hui hai warna,
Zikr mera bhi kahin pyar ki injeel mein tha€¦€¦
Ab koi harf-e-dua kam nahi ay ga,
Ab wo mehtab sar-e-bam nahi ay ga,
Ab dhalay ga na kabi hijr ka jalta suraj,
Ab kabi wasl ka hangama nahi ay ga,
Ja k us kochay mein hum u hi palat ay gay,
Waqt-e-rukhsat koi 2 gham nahi ay ga,
Uski galyon mein hamay koi nahi pehchanay ga,
Koi tana koi dashman nahi ay ga,
Dil k darwazay per dastak nahi de ga,
Koi nama koi paigham nahi ay ga,
Umr bhar matam mein shehr-e-tamana ho ga,
Neend to ay gi aram nahi ay ga,
Magar ae bad-e-saba us se ja kr kehna,
Is kahani mein abkoi nam nahi ay ga€¦€¦
Es Dil me Salamat ha ab tak
Wo Shokhi-e-lab wo hraf-e-wafa,
Wo naqsh-e-qadam wo aks-e-hina
So bar jisy choma Hum ne,
Es Dil me Salamat ha ab tak,
Wo Gard-e-alm wo Deeda-e-num,
Hum jis me chupa ker rakhty thy,
Tasweer Bikharti Yaadon ki,
Zanjeer pighalty Waadon ki,
Poonji nakam Iradon ki,
Ay teiz Hawa Naraz na ho,
Es Dil me Salamat ha ab tak,
Kuch rezy Naram Sawalon k,
Kuch Dar Anmol khayalon k,
Ek Sacha Roop HaQiqat ka,
Ek JHOOTA Lfz MUHABAT ka.
Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-katil bhi mujhy dast-e-HinA lgta tha
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
Han wo shaks mohabt ka KHUDA lagta tha
kanton bhari shakh nazar aata tha kabi
Phool lagta tha kabi baad-e-saba lagta tha
Ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
Main jisy sare zamany sy bura lgta tha
Us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
Sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha
Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gi ek din
tumhare dil mai utroon ga mohabbat ki sada ban kar
Mere josh-e-janoon par sari khalqat mujhko takti hai
zara tum bhi nazar dalo na bethoo yun Khuda ban kar
Tumhain yeh raaz batla doon k aksar chand ratoun main
teri aangan mai aata hun sitaroun ki zeeya ban kar
Jigar ka khoon laya hoon tere singhaar ki khatir
hatheli par racha leyna ye mehkey ga Hina ban kar
Tumhe zid hy k iqrar-e-wafa tum ne nahi karna
Meri taqdeer mein rang-e-HinA tum ne nahi bharna
Tumhe manzoor he shayad mera ghut ghut k he marna
Tumhare faisaly per ab,sar-e-tasleem kham hoga
Main apny hont see loon ga
Yu he bekaif gee loon ga
Tumhare hijer ki tasveer ko dil main saja loon ga
Tumhare jaber apny sabar ko main aazma loon ga
Magar ek baat main pounchoon
Tumhe apni qasam
Tum rakh k apny ser per haath
Phir phir khena
Tumhare dil mian mere naam se hal chul nahi hoti
Mere khat parh k jazbo mian koi tufan nahi uthta
Jawan raaton mein meri yaad ki shamay nahi jalti
Tumhari dharkano main kya meri yadien nahi palti
Tu phir tum ne azziyat ki ye rada
Kyoun taan rakhi hai
Ye dil mian thhaan rakhi hai
Bahut baichan khud rehna
Mujhe barbad sa rakhna
Bhulana bhi tu uss k sath kuch kuch yaad sa rakhna
Har ek andaaz ko apne sitam ejaad sa rakhna
Agar es shauq se tum ko koi taskeen milti hai
Tu mere zakhm-e-talab ka "tazkara" ab kam se kam hoga
Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi
Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi
Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri
Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi
Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera
Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi
Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay?
Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi
Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera
Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Thi . . .
Main Roi To Nahi Hoon......
Najaney Kiyoon Mera Kajal
Jab Bhi Dalo Ankhon Main
Ab Aksar Phail Jata Hai
Tum To Jantey Ho In Dino
Bohat Hi Thand Hoti Hai
Tab Hi Hai Surkh Meri Naak
Main Roi To Nahi Hoon......
Kaha To Hai Yunhi Buss
Bheega Hai Aanchal Ka Kona
Choro Tum Fiker Mat Karo
Main Roi To Nahi Hoon......
Nahin, Udaas Kab Hoon Main
Ziyada Kaam Kay Baies
Thakawat Ho Hi Jati Hai
Main Roi To Nahi Hoon......
Eid Aai Hai, Woh Ab Bhi
Nahin Aata To Na Aaye
Ab Us Ki Yaad Mai Dekho
Main Roi To Nahin Hoon.....
Bata Dena Us Ko Ja Ker
Koi Khush-Fehmi Na Palley
Waisey Hi Surkh Hain Ankhin
Main Roi To Nahin Hoon.....
Iqbal tery dees ka kya haal sunnaun,
Bebaqi_o_haq goi sy gabrata hai momin,
Makkari_o_robahi py itrata hai momin,
Jis rizq sy parwaz main kotahi ka dar ho,
Woh rizq bary shoq se khata hai momin,
Kirdar ka, guftar ka, aamal ka momin,
Qaail nhi aisy kisi janjal ka momin,
Sarhad ka hai momin koi punjab ka momin,
Dhondy sy b milta nhi Quran ka momin,
Iqbal tery des ka kya hall sunaun.!
Aik chand tanha khara raha
Mere asmaan se zara prey
Mere sath sath safar mai tha
Meri manzilon se zara prey
Teri justajo ke hisaar se
Tere khawab tere khayal se
Main wo shakhs tha jo khara raha
Teri chahton se zara prey
Kabhi dil ki baat kahi na thi
Jo kahi to wo b dabi dabi
Mere lafz poory to thay magar
Teri sma'aton se zara prey
To chala gya mere humsafar
Zara dekh mur k to ik nazar
Meri kashtiyan hain jali huwi
Tere sahilon se zara prey
juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai
khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoo'n k mera hai usey hona bhi parhta hai
abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khiza'n aaye tau phir rona bhi parhta hai
mujhey nindain nahee'n bhatee'n k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai
hamesha hansta rehta hoo'n chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai
Alfaz k jhoote bandan main
Raz k gheray pardon main
har shakhs Mohabat karta hai
halan ke mohabat kuch bhi nhin
sab jhoote Rishte nate hain
Sab dil rakhne ki batein hain
sab asli roop chupate hain
ehsas se khali log yahan
lafzon k teer chalatey hain
ik bar nazar main aa kar wo
phir sari umer rulate hain
ye ishq mohabat mehr-o-wafa
ye sab kehne ki batain hain
har shahks khudi ki musti main
Bus apni khatir jeeta hai...
Zamane se sona tha mohabbat har jati hai,
Jo chahat ik tarafa ho wo chahat har jati hai,
Kahi par bhi duao ka ik lafz asar kar jata hai,
Kahi par barso ki ebadat har jati hai,
Mohabbat kab kisi ko doshmani ka dars day,
Ek arzoo see hai ke un ko bhol jai hum,
Magar un ki yaad ati hai ye hasrath har jati hai