Dillagi dosto ke naam hoti hai Dilldari dosto ki shaan hoti hai
Kahi bhi raho par rahoge dil me mere Yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN, Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko, Sajdon me rone ki adat nahin hoti
Tanha chor ker hum ko hasla bhi dete ho, Saans cheen ker jeenay ki dua bhi dete ho,
Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai, Aur muskuranay ka mashwara bhi detay ho
Meri chahat ka hisab jo lagao gay, To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi, Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,
Jab koi khayal dil se takrata hai, Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai,
Koi sab kuch keh ker dosti jatata hai, To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin, In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin,
Agar yaad rakhna fitrat hai aapki, Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
Mahak dosti ki ishq se kum nahi hoti Ishq se zindgi khatam nahi hoti Sath agar ho zindgi main doston ka To zindgi jannat se kum nahi hoti
Hum to mojod thy raaton me ujalon ki tarah, Log nikly hi nahi dhondne walon ki tarah,
Dil to kia hum rooh me uter jate, Us ne chaha hi nahi chahne walon ki tarah
Ae rab apnay pas meri dua amanat rakhna, Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna.
Meri ankhon k sary deep bujha dena, Per us ki ankhon k sary khuwab salamat rakhna
Us shakhs se jab tuk koi baat nahin hoti, Din nikalta nahi or raat nahin hoti,
Na khafa howa karay wo usay kehna, Bina us k Mukammal meri zaat nahin hoti
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota, Main hosh main hote howay anjaan na hota,
Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain, Ya koi patthar dil insan na hota
Bojhal dil, bojhal qadam, Sochtay hain k jain kahan
Jub sub derwazay hon band, Apni manzil pa'ain kahan
Sang'raizon k dais main, Kanch ka dil chupain kahan
Zindagi younhi teri chahat k naam kardi, Jaisay ghanay darakht k neeche sham kardi,
Laut jate hainparinde shaam hote hi, Hamne to har shaam hi tere naam kardi
Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta, Khoo jati agar main kahin, to meri justuju karta,
Mein us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jati, K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,
Koi na milay to qismat se ghila nahi karty! aksar log mil ker bi mila nahi karty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror! par har shaakh par phool khila nhi krty
Mujhey guman hai k chaha hai bohut zamanay ne mujhey. Main azeez to sab ko hon magar . . . Zaroraton ki tarah..!
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib, Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,
Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata, Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha kitne bejan saharon ko sahara samjha,
kitnay anjaan thy wo log jo sahil pe thy, hamain doobta dekha or nazara samjha
Dil main koi malal bhi nahin, Us se koi gila nahin, jo sath day k bhi sath nahin,
Us ki khushion ki mangi hai dua, Yeh alag bat hay k meri zindagi us ka sawal hai k nahin
Jis ki qurbat main karar bohut hay us ka milna dushwar bohut hay
jo meray hathon ki lakiron main nahin us shakhs say mujhey pyar bohut hay