Dil k labon pay aik dua rehti hai, Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai,
Khuda har sukh zindagi ka kare atta aap ko, Har dua main meri yeh iltija rehti hai,
Hamar dil ko dil se churaya aap nay, Door hotay howay bhi apna banaya aap nay,
Kabhi bhi na bhool pain gay aap ko, Kiyon k yaad rakhna bhi sikhaya aap nay!
Dil me har raaz daba k rakhte hain, Honto pay muskan saja k rakhtey hain,
Ye duniya sirf khushi main saath deti hay, Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain...
Yun ainon say kab tak dil behlao gay, Jab andhera hoga khud ko tanha paogay,
Hum jesa koi dost rahey agar tumhare sath, Tu qasam say umer bhar muskurao gay..
hum to tere har baat bhol chuky the jane kiyo log tere yaad dilane aye
tere gali me tere deed ki khatir hum kise our se milne k bahane aye
Hum jaise dost hotay nahin sab k liye, Yeh tohfa hai kisi kisi k liye.
Kion jala rakha hai shamma bujha dijiye Kia hum kum hain rooshni k liye
Khushiyon par fizaon ka pehra hai, na jane kis umeed pe dil thera hai,
aapki ankhon se jhalakte dard ki kasam, yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai...!
Koi to dost mere zindagi main aisa ho, phoolon ki tarah ho wafaon jaisa ho,
mere talash ki had us pr khatam ho jayay, zameen per ho magar asmaan jaisa ho...
Rasm-e-ulfat sikha gaya koi, Dil ki duniya pe chha gaya koi,
Taa qayamat kisi tarah na bujhe, Aag aisi laga gaya koi...
Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the, kisi pey mar mitne wale hum na thay,
aadat si par gayi tumhe yaad karne ki, warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
Hasna zindagi hai, has kar gum bholana zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse, haar kar khushiyan manaana zindagi hai
Aaj khushiyon ki koi badhai dega, Nikla hai chand to dikhai dega,
Ae dost dosti ki hai humne aapse, Aapka ek aansu bhi ghira to sunai dega..
Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai. Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho, jis se meri zindagi zinda dil hoti hai.
Palkon main qaid kuch sapne hain, Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main, Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain...
Na gulfaam chahiye,Na salaam chahiye, Na mubarak ka koi paighaam chahiye,
Jisko pee ker hosh urr jayain, Labon ko aisa jaam chahiye....
Qismat rooth gayai, Dil k taar toot gaye,
Aap jo hum say rooth gaye, Sapnay bhi saray toot gaye,
Baki rahe khazaney main do ansu, Yaad aap ki ayai, to woh bhi laut gaye
Zakham dainay ka andaz kuch aisa hai, Zakham day ker pochtay hain ab haal kaisa hai?
Kisi aik say gila kiya karna yaaro, Saari duniya ka mizaaj aik jaisa hai
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye, Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye,
Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon, Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
Hamare muskuranay ki waja tum ho, Hamari zindagi ka matlab tum ho,
Agar chora saath zindagi main hamara, to samajh laina k hamari maut ki waja bhi tum ho
Khud ko khud say ham kalam kar k daikhna, Kitna mushkil hai yeh kaam ker k daikhna,
Kis qadar udas guzarti hain meri shamain, Yaad kisi ko kisi shaam kar k daikhna...