Bohat chaha magar unhain bhula na sakay, Khalaon main kisi aur ko laa na sakay,
Usko daikh k ansu to poch liye, Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen, Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye,
Bay panah pyaar kehtay hain usey, Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai, Mann ka paap chupanay ko badan hota hai,
Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log, Esi liye har laash per kafan hota hai....
Yaad aate hai to zara kho lete hai Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai
Nind aakho me aate nahi laken Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
Saaye ki tarah saath rahne wale hamse rishtaa tod gaye,
hakikat me milna mumkin nahi tha magar khwabon me bhi aana chhod gaye
Mitti ki anokhi murat ho tum, Zindagi ki ek zarurat ho tum,
Phool to khubsurat hote hai, Phoolon se bhi khubsurat ho tum.
Har jaga baithna intizar nahi hota, Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota,
Nazrain to har aik say milti hain, Har nazar ka milna inpyaar nahin hota...
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main, Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon, Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main...?
barso baad na jaane kaun kaha hoga, hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me, jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain, Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain, Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain...
Kaun sa phool paish karon, Koi phool gulab nahin,
Aap to khud aik gulab hain, Jiska koi jawab naheen...
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata, Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata,
Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se, Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata...
Jab khuda ne tujhe banaya hoga, ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga..
Aise hi nashili nahi teri aankhen, jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga...
Ae chand tu bhool jayega apne aap ko, Jab sunay ga dastaan mere pyaar ki,
Kion karta hai tu ghuroor apne aap pe itna, Tu to sirf "PARCHAI" hai mere "YAAR" ki...
Yeh kaun muskura kar idhar say guzar gaya, Bay noor rastoon main ujala bikhar gaya,
Socha bohut kisi say pyar na ho magar, Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya..
Poch lo khuda se tere liye hi ham ne dua mangi, Pooch lo hawa sey tere liye hi ham nay fiza mangi,
Jab bhi hoi tujh say koi ghalti, Ham ne dua main apne liye saza mangi
Kaash main chand tuu taara hota, Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay, Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota...
Dilon say khailnay ka hunar hamain aata nahin, Isi liyay ishq ki baazi hum haar gayai,
Meri zindagi se shayud unhain bohut pyar tha, Isi liyay mujhey zinda hi maar gayai....
Kab maine kaha ki Chandi aur Sona chahiye, Bas aap ke dil mein ek chota sa kona chahiye,
Keh sakain jise hum dil se apna, Aisa bhi to koi dost hona chahiye.
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna, Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna, Magar gham batna ho toh hume yaad karna.